
zaroori tha lyrics
Singer: Rahat Fateh Ali Khan
“Lafz Kitne hi, Tere Pairon Se, Lipte Honge
Tune Jab Aakhri, Khatt Mera Jalaaya..hogaa
Tune Jab Phool.., Kitaboon Se.., Nikaale.. Honge..
Dene Waala.. Bhi, Tujhe Yaad To Aaya.. Hoga..”
Aaaa…..
Teri Aankhon Ke Dariyaa Kaa
Utarnaa Bhi Zaroori Thaa
Mohabbat Bhi Zaroori Thi
Bichhadna Bhi Zaroori Thaa
Zaroori Thaa Ke Hum Dono
Tawafein pe Aarzoo Karte
Magar Phir Aarzoon Kaa
Bikharna Bhi Zaroori Thaa
Teri Aankhon Ke Dariyaa Kaa
Utarna Bhi Zaroori Thaa
Bataaoo Yaad Hai Tumkoo
Wo Jab Dil Koo Churayaa Thaa
Churaayi Cheez Koo Tumne
Khuda Kaa Ghar Banaya Thaa
Wo Jab Kehte The
Mera Naam Tum Tasbir Mein Padhte Ho
Mohabbat Ki Namaazon Koo
Kaza Karne Se Darte Ho
Magar Ab Yaad Aata Hai
Wo Baatein Thi Mahez Baatein
Kahin Baaton Hi Baaton Mein
Mukarna Bhi Zaroori Thaa
Teri Aankhon Ke Dariya Kaa
Utarna Bhi Zaroori Thaa
Aaaa….
Wohi Hai Sooratein Apni
Wohi Main Hoon Wohi Tum Hoo
Magar Khoyaa Huaa Hoon Main
Magar Tum Bhi Kahin Gum Hoo
Mohabbat Mein Daga Ki Thi
So Kaafir The So Kaafir Hain
Mili Hain Manzilein Phir Bhi
Musaafir Thhe Musaafir Hain
Tere Dil Ke Nikaale Hum
Kahaan Bhatke, Kahaan Pahunche
Magar Bhatke Toh Yaad Aaya
Bhatakna Bhi Zaroori Tha
Mohabbat Bhi Zaroori Thi
Bichhadna Bhi Zaroori Tha
Zaroori Tha Ke Hum Dono
Tawafein Aarzoo Karte
Magar Phir Aarzuon Ka
Bikharna Bhi Zaroori Tha
Teri Aankhon Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaroori Tha
Written by:
Rahat Fateh Ali Khan
Song credits:-
Song: Zaroori Tha
Singer: Rahat Fateh Ali Khan
Lyrics: Rahat Fateh Ali Khan
Music: Rahat Fateh Ali Khan
Starring: Gauhar Khan, Kushal Tandon, Rahat Fateh Ali Khan
Label: Rahat Fateh Ali Khan