Lyricsli.com

pyar diwana hota hai lyrics

album : kati patang, singer : kishore kumar, lyrics : anand bakshi, music director : r d burman, label : saregama

Pyaar deewaana hota hai, mastaana hota hai 

Har khushi se, har gam se, begaana hota hai 

Pyaar diwaana hota hai, mastaana hota hai 

Har khushi se, har gam se, begaana hota hai

 

 Shama kahe parawaane se pare chala ja 

Meri tarah jal jaaega, yahaan nahin aa

 Shama kahe parawaane se pare chala ja

 Meri tarah jal jaaega, yahaan nahin aa

 Wo nahin sunata, us ko jal jaana hota hai

 Har khushi se, har gam se, begaana hota hai

 Pyar deewana hota hai, mastaana hota hai

 Har khushi se, har gam se, begaana hota hai

 

 Rahe koi sau paradon men, dare sharm se 

Nazar aji laakh churaae, koi sanam se

 Rahe koi sau paradon men, dare sharm se 

Nazar aji laakh churaae, koi sanam se

 A hi jaata hai jis pe dil ana hota hai

 Har khushi se, har gam se, begaana hota hai 

Pyar diwana hota hai, mastaana hota hai

 Har khushi se, har gam se, begaana hota hai

 

 Suno kisi shaayar ne ye kaha bahot khub

 Mana kare duniya lekin mere mehabub

 Suno kisi shaayar ne ye kaha bahot khub

 Mana kare duniya lekin mere mehaboob

 Wo chhalak jaata hai jo paimaana hota hai

 Har khushi se, har gam se, begaana hota hai

 Pyaar deewaana hota hai, mastaana hota hai

 Har khushi se, har gam se, begaana hota hai

 
Share your love