bewafa tera yuh muskurana lyrics
Singer : Jubin Nautiyal, Lyricist : Rashmi Virag, Music : T -Series, Director : Navjit Butter
Mujhse takra gaye
baad muddat ke woh
Mujhse takra gaye
baad muddat ke woh
aur pheli ke jaisa
nasha chaa gaya
jisko dafna ke rkha tha
dil mai kahin
phir mare saamne wo
samaa chaa gaya
Aankh tirchi huyi
Lab hile iss tarah
khud – b – khud mere
honthon pe sher aa gaya
Bewafa tera,Bewafa tera
Bewafa tera yun muskurana
jaise kuch bhi hua hi nahin hai
Bewafa tera yun muskurana
jaise kuch bhi hua hi nahin hai
Zakham toone jo mujhko diye hai
dard abb tak gaya hi nahin hai
teri tasveer mane jaala di
Apni taqdeer khud hi mitta di
Tu mujhe jab kabhi yaad aaya
dil ne sau sau dafa baddua di
khaab se bhi tujhe bedakhal kar diya
chod ke main tujhe badi dur aa gaya
bewafa honge ,
bewafa honge laakho hazaaron
koi kamzarf tujhsa nahin hai
dil ko abb mare hosh aa gaya hai
pehle jaisa sharabi nahi hai
bewafa tera yuh muskurana
jaise kuch bhi hua hi nahi hai
mohabbat ke tarazun mein
wafa kamzor thi teri
Andheron se tumhare
bach saki naa raushani meri
jise mane khuda mana
usi ne dil mara toda
mujhe dhoka diya aaisa
kahin ka bhi nahi chodo
phir kabhi naa kisi se naa lagaunga dil
ye sabak mujhko lutne ke baad aa gaya
bewafa mera haan bewafa mera
bewafa mera qaatil hai tu yeh
tujhko ab tak pata hi nahi hai
yeh bhi sach hai ke ye baat maine
tujhko abb tak batayi nahi hai
bewafa tera yuh muskurana
jaise kuch bhi hua hi nahi hai
kabhi kabhi mohabbat mein
aisa hota hai
saansein chalti rheti hai
par waqt thera sa hota hai